Next Month Launch Hone Waale Xiaomi Mi 9X Ki Specifications Leak Hui





Xiaomi Mi A2 ke baad mein company apne next Android One phone par kaam kar rahi hai. Expect kiya jaa raha tha ki company Mi A3 ko launch sakti hai lekin Mi A3 ko side karte huye iss waqt Mi 9X ki leaks aana shuru ho gayi hain. Saamne aayi report mein 2 smartphones ke code name saamne aaye hain jise ‘bamboo_sprout’ aur cosmos_sprout’ naam diya gaya hai. Yeh dono phones Mi A3 aur Mi A3 Lite bataye jaa rahe hain. Iske alawa ek aur device ka code name saamne aaya hai jo ‘pyxis’ hai. Iss phone ko Mi 9X maana jaa raha hai.



Iss phone se related specs details Weibo par dikhai di hain. Saamne aayi reports mein bataya gaya hai ki yeh phone 6.4 inch ki full HD+ display ke saath aa sakta hai. Leak reports mein bataya gaya hai ki iss phone mein Snapdragon 675 processor diya jaa sakta hai. Iske alawa 6GB RAM ke saath 64GB internal storage mil sakti hai.






leaksters ke according iss phone mein triple rear camera set up diya jaa sakta hai jismein primary camera 48MP ka, secondary camera 13MP ka aur third camera 8MP ka ho sakta hai. 48MP ka  primary camera Sony IMX586 sensor ke saath aa sakta hai. Inn sabhi specification ke alawa phone ki battery capacity bhi saamne aayi hai jo ki 3300mAh ki batayi jaa rahi hai. Saath hi bataya gaya hai ki yeh battery 18W ki quick charge 4+ fast charging ko support karegi. Iske alawa iss phone mein in-display finger print scanner ka option bhi mil sakta hai.


Leaks ki according company iss phone ko April ke mid week mein launch kar sakti hai jahaan iss phone ki announcing price CNY 1,699 ho sakti hai.

Comments

Popular posts from this blog

Poco F1 Lite Spotted On Geekbench With 4GB RAM

ASUS Zenfone Max Shot And Max Plus M2 Announced With New Snapdragon SiP 1 Processor

रिकॉर्ड तोड़ बिक रहा है realme का यह फोन, कीमत घटकर रह गई है मात्र इतनी.