ASUS Zenfone Max Shot And Max Plus M2 Announced With New Snapdragon SiP 1 Processor


ASUS ne silently apne two new smartphones aaj announce kiye hain, jinke naam Zenfone Max Shot aur Zenfone Max Plus M2 hain. In smartphones ki khaasiyat hai, inmein aane waala naya processor Qualcomm Snapdragon SiP 1. Ismein SiP ka full form hai, system in package jahaan RAM, ROM, modem, chipset, audio codec jaisi sabhi cheezein aapko ek package mein mil jaati hain, yaani ki motherboard chota hoga aur phone mein baaki bache space ko aap bigger battery ya kisi aur cheez ke liye use kar sakte hain.




Processor

SiP 1 ke saath aane waale smartphone jyada slim bhi honge. Bataaya jaa raha hai ki Snapdragon SiP 1 ki performance Qualcomm ke Snapdragon 450 processor jaisi hi hogi jo ki ek 14nm chipset hai.

Display

Ab baat karte hain phones ki, Zenfone Max Shot aur Max Plus M2 mein 6.26 inch ki FHD+ display hai, dono ki screens par aapko wide notch milti hai. Iske alawa dono mein 4000mAh ki battery di gayi hai.

Camera

Lekin Max Shot mein triple rear cameras hain jismein 12 MP ka main camera Sony IMX486 sensor aur f/1.8 aperture ke saath aata hai, second one 8 MP ka camera 120 degree ultra wide angle lens ke saath aata hai, aur 5 MP ka depth sensor hai.
Jabki Zenfone Max Plus M2 mein 12 MP ka main camera aur 5 MP ka depth sensor hai. Dono smartphones mein 8 MP ka front camera diya gaya hai.

Variant

Zenfone Max Shot mein two storage options hain – 3GB+32GB aur 4GB+64GB. Wahin Zenfone Max Plus M2 mein kewal 3GB RAM ke saath 32GB internal memory variant launch kiya gaya hai.
Price approx
Ab aapko bataate hain, in dono ki pricing ke baare mein. Zenfone Max Shot ki 3GB version ki cost BRL 1349 hai (approx. 24,300 INR) aur 4GB variant ko BRL 1,699 (approx. 30,600 INR) ke price par launch kiya gaya hai. Lekin in smartphones ke India launch ki abhi koi khabar nahin hai.

Comments

Popular posts from this blog

Poco F1 Lite Spotted On Geekbench With 4GB RAM

रिकॉर्ड तोड़ बिक रहा है realme का यह फोन, कीमत घटकर रह गई है मात्र इतनी.