Last year Xiaomi ne Android One smartphone Mi A2 launch kiya tha, jise India mein kaafi pasand kiya gaya. Kuch waqt pehle XDA Developers ki reports ke according, ye pata chala tha ki Xiaomi kisi smartphone par kaam kar raha hai, jiska code name orchid_sprout hai. Lekin haal hi mein ek aur news saamne aayi hai, jisse ye maloom hota hai ki Xiaomi is samay two Android One smartphones par kaam rahi hai.
Haal hi mein saamne aayi khabar ye hai ki company bamboo_sprout, cosmos_sprout code name wale two Android One smartphones launch karegi. Aaj saamne aayi report mein khaas baat ye hai ki, in dono smartphones mein in-display fingerprint scanner ho sakta hai aur saath hi 32 MP ka selfie shooter bhi inmein aa sakta hai.
32 MP ke saath inmein ho selfie camera fitted hoga, usmein 4 in 1 pixel binning technology ka istemaal kiya jayega, aisa hi kuch aap Mi A2 mein pehle dekh chuke hain. In dono smartphones ke naam Mi A3 aur Mi A3 Lite ho sakte hain, jinmein se Mi A3 top model hoga jismein Octa Core Snapdragon 675 chipset diya jaa sakta hai, ya phir Snapdragon 710 processor diye jaane ki bhi baat ho rahi hai. Wahin Mi A3 Lite mein humein Snapdragon 632 ya Snapdragon 660 bhi dekhne ko mil sakta hai.







In dono hi smartphones mein dot notch expect ki jaa rahi hai, jaise ki haal hi mein launch huye Redmi Note 7 Pro mein bhi di gayi hai.
Iske alawa Xiaomi ka ek aur phone code name ‘pyxis’ ke saath nazar aaya hai. Maana jaa raha hai ki ye Mi A3 ka hi Chinese version ho sakta hai. Saath hi achhi cheez ye bhi hai ki ab ki baar Mi A2 ke successor Mi A3 mein AMOLED display expect ki jaa rahi hai.

Comments

Popular posts from this blog

Poco F1 Lite Spotted On Geekbench With 4GB RAM

ASUS Zenfone Max Shot And Max Plus M2 Announced With New Snapdragon SiP 1 Processor

रिकॉर्ड तोड़ बिक रहा है realme का यह फोन, कीमत घटकर रह गई है मात्र इतनी.